25 votes ki limit kay baad kaafi umeed hai kay ab next episode main Shahmir eliminate hoga. Kashif Ali abhi tak aik hi tarah kay punjabi type classical song gaye ja raha hai. Kashif aur Zamad apnay thick punjabi accent ki waja say urdu songs theek tarah say gaa hi nahi saktay. Kiya Kashif aur Zamad, Zoheb Hasan kay pop songs "Payar Ka Jadoo" , "Ae Dil Mere Chal Re" gaa saktay hain properly?....NEVER!!!!! Pakistan Idol aik singing competition hai aur teeno judges audition round main baar baar ye keh rahay thay kay hum aik aisa singer dhoond rahay hain jo her tarah kay ganay gaa sakay. Isi buniyaad per judges ne bohot se logon ko ye keh ker reject ker diya tha kay aap aik hi tarah kay ganay gaa saktay hain. Lekin Kashif aur Zamad per judges ki khaas meherbani hai, isi liye dono aik hi tarah kay punjabi-zada ganay gatay hain baar baar.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)



0 comments:
Post a Comment